Amazon Se shopping kaise kare
Hello Dosto Techy Abhishek mein aapka swagat. aaj mai aapko bataunga Amazon se shopping kaise kare iske bare mein. dosto kuchh log aise hai jinke pass time nhi rehta ki so log Market ja paaye isiliye aaj mai aapko bataunga ki ghar baithe aap online shopping kaise kar sakte hai Amazon se .

dosto online shopping karne ke liye bahut sare applications hain jaise ki: Flipkart, snapdeal, ShopClues aadi. jo india mein bahut hi jyada famous hain lekin Amazon india mein hi nhi balki pure duniya mein famous hain. 

aur dosto Amazon duniya ka sabse Largest online shopping company hain aaj mai aapko yahi sikhaunga ki Amazon se online shopping kaise kare. to chaliye step by step jante hain ki Amazon par shopping kaise kare. 

Amazon Se shopping kaise kare 


Online shopping ka trend aaj kal bahut chal raha hain bahut se logo ke pass time nhi hai ki wo market jakar samaan kharid sake waise mein un logo ke liye behtar hai ki online shopping kare. dosto isme aapko delevery charges kuchh dene hote hai aur product aapke ghar tak delever kiya jata hai safely.

Amazon duniya ka Largest e-commerce Company hain jo pure world mein famous hain. Amazon India mein bahut bde bde sell karta hain Amazon mein Aapko COD yani Cash On Delevery ka bhi option mil jata hain, lekin kuchh aise Latest products hote hain jinme yeh facility nhi milti .

lekin dosto aapko tension lene ki koi jarurat nhi hain Amazon 100% Trusted E-commerce Company Hain yaha aap aankh bnd karke bharosa kar sakte hain. Dosto aap log aise bhi soch rahe honge Ki Agar ham pehle payment kar dete hai to product kisi aur ko bhi delevery boy de sakta Hain. 

lekin dosto aisa nhi hain mai aapke Jankari ke liye bta du jab bhi aap koi mehnga product mangate hain for example aapne ek smartphone order kiya Aur payment pehle kar diya ab Amazon mein aapko pura Details me dekhne ko milta hain ki aapka product kaha pahucha ye sab . 

3-4 Daye jaise product jo aap order kiye hai wo aapke pass aayega to delevery boy jo hoga wo aapse OTP puchega confirmation ke Liye Ki Yeh Product Aapka hi hai, OTP aapke number par delevery boy bhejega jab product aap tak lekar aayega. 

Aur agar Aap cash on delivery option select karke mangate hai waise mein aapse wo OTP nhi puchega kyuki dosto aap to payment usko Payment karoge tab wo aapko product dega. Waise Cash On Delevery Ka option Maximum Products par mil hi jata hain. 

ab mai aapko Amazon Par shopping karne ka tarika bataunga jisse ki aap ghar baithe sidhe koi bhi product mangwa sakte hai asani se to chaliye jante hain iske bare mein. 

Amazon se shopping karne ka Tarika 


ab yaha par mai aapko online shopping karne ka tarika batane ja rha hun jiski madad se aap kisi bhi product ko buy kar payenge yahaa par aapko sabhi tarah ke products mil jayenge to aaiye jante hai iske bare mein: 

Step 1: Amazon App ya Site Open kare 


sabse pehle aapko apne Android mobile me Play Store mein jana hai aur waha search box mein aapko Amazon likh kar search karna hain aur use download karke Install kar lena hain. uske baad aapko registration karna hoga Registration par click karke Mobile number aur Gmail ID dalna hai aur Create account kar lena hain. 

Step 2: Product Search Kare 


Dosto ab aapko wo product ko find karna hai jo aap Kharidna chahte hain uske Liye aapko upar Search box milega usme Product ka name likh kar search kar sakte hain. 

Step 3: Product Details


dosto aapke dwara search kiye gaye product ko chune uspar click kare ab aapko product ki details dekhne ko mil jayegi jaise ki: Product Kya hai, Product ka price kitna hai, Product ko kitne logo ne kharida hai, Logo ka review kaisa hai uss product ke upar Etc. 

Step 4: Buy Now 


dosto agar aap chune hue product ko kharidna chahte hain to uske Liye Buy Now ke button par click karke uss product ka kharid sakte hain. 

Step 5: Add to Cart 


Add to cart option ki madad se aap multiple products ko add to cart list me rakh sakte hain aur ek sath bahut sare product order kar sakte hain. 

Amazon par Order Kaise kare 


 • dosto agar aapki profile complete hain to profile ke sath apne Delevery address ko bhi verify kar le kyuki abhi ye facilities village me available nhi hai. ye seva abhi sirf city tak hi available hai. 
 • dosto agar aapne Add To cart kiya hain to aap Home page se My Order wale Par click karke jaaye ab aapko next page mein Payment karna Hoga. 

aap teen tarah se payment kar sakte hain: 

1. Cash on delivery 
2. Net banking 
3. Debit card/Credit Card 

 • dosto ab aap pe depend karta hain agar aap online payment karte hain to online payment kar sakte hai nhi to aap Cash on delivery wala option select bhi kar sakte hain. 

dosto jaise Aap Order place karte hai to aapke number par ek message aayega Amazon company ki taraf se ki aapka product book ho chuka hain aur waha ye bhi dikhayega ki wo product aapke pass kirne date tak delever kiya jayega .

Conclusion: 

es post mein maine aapko bataya ki Amazon se Shopping kaise kare dosto mujhe ummid hai ki aapko hamari ye post pasand aayi hogi aur aapko bahut kuchh sikhne ko mila hoga. aur agar aapka koi sawal hain to aap hamse comment box me puchh sakte hain dhanywaad.